Thursday, August 18, 2011

DIL KI BATEN


Aksar main apne doston ke beech me shayari karta hun actualy main apni dil ki bat jo itni badi hoti hai usse kuchh chand lafzon me kahne ki koshish karta hun par pata nahi kitno to yun hi muskura dete hai ki main sher bol raha hun aur to kuchh isliye muskurate hai ki mujhe bura na lage par koi bhi dil  se mere dil ke un alfaz ko samjhne ki kosish nahi karta phir main ye sochta hun agar wo samjh bhi jayenge to kya kar sakte hai agar dukh hai to  sympathy denge aur khushi hai to wo bhi khush honge lekin main hamesh khush to nahi rah sakta na ? jindgi me dukh ate hai lekin agar dukh aisa ho ke us par na hans sako na ro sako to jindagi 1 bojh ban ke rah jati hai.
main chahta hun mere dost hamesha mujh se khush rahe kabhi meri taraf se koi galti na ho ab insani fitrat hoti h kuchh galtiyan to ho hi jati h. sachhe doston ki to tabhi pahchan hoti h tab kuchh bura hota hai. Har kisi ke jindagi me 1 bura wakt ana chahiye us se logon ki pahchan ho jati hai.
mere zehan me kuchh alfaz aa rahe hai main wo likhna chahunga
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.! 

No comments:

Post a Comment

how to use 'Expense Manager' website. Detailed step by step GUID.

 Dear Reader,  This post aims to explain step by step process to setup your account of expense manager web application, and how you would ma...